KISMAT NEY KAR DIYA JO MAYASIR UTHA LIYA PATHAR UTHA LI
Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya
Pathar utha liya kabhi Gohar utha liya
Pathar utha liya kabhi Gohar utha liya
Peimana e jaam meena o sagar utha liya
Saki ney jo dey diya sar par utha liya
Saki ney jo dey diya sar par utha liya
Woh aadmi farishta hai jis ney Qadam Qadam
Gheiroon ka ghaam bhi apna samjh kar utha liya
Gheiroon ka ghaam bhi apna samjh kar utha liya
Kia Karbaal Key Zalimoon ki laye koi misaal
Manga jo pani bachoon ney Nashtar utha liya
Manga jo pani bachoon ney Nashtar utha liya
Mujh say gureiz karney lagey mere hum safar
Main ney Qadam jo rah mein behtar utha liya
Main ney Qadam jo rah mein behtar utha liya
Ehbaab mujh say ess liye naraz hain Qamar
Kiun ous ney mujh ko apney barabar utha liya
~!~ROoMi~!~
Kiun ous ney mujh ko apney barabar utha liya
~!~ROoMi~!~