Ye hum apse pyar to nahi karty hain
jab naam ata hai apka to nazar jhukaya karty hain
qk Log chehra apka meri aankhon me dekha karty hain,
han seher o shab yaad apko hi kiya karty hain
Ye hum apse pyar to nahi karty hain
Apko choone ki khawhish nahi karty hain
Bas apko khush rakhne ki koshish kia karty hain
khyal mein hi apke qadmon ko chuma karty hain
Yeh hum apse pyar to nahi karty hain
“HAN HUM APSE EBADAT JESA ISHQ KARTY HAIN”

