PYAS KE AALAM MEIN KYA BOLUN MUJH KO KAISA LAGTA HAIEK
pyas ke aalam mein kya bolun mujh ko kaisa lagta hai,
ek qatra bhi is dum atif dariya jaisa lagta hai,

sookhe paton ki aahat ab bhi mujh ko chonkati hai,
yaad hai mujh ko un per chalna tum ko acha lagta hai,

mein to apne aap ko aksar ye samjhata rehta hon,
tu sab kuch hai phir bhi akhir tu mera kya lagta hai,

itni mudat se aankhon mein khwab nahin utra koi,
ke ab sapna bhi dekhoon to mujh ko sapna lagta hai,

tum kya mere pyar ki shiddat paimano se naapo ge,
pyar mein jitna bhi karta hoon mujh ko thora lagta hai,

honton ki muskaan se tu ne dard chupaya hai lekin,
aankhon ki surkhi se tu bhi dil se roya lagta hai,

apni ankhon mein khwabon ke loag sajaye bethay hain,
khwabon ka sodagar phir se shehar mein aya lagta hai,

dil ke behlane ko sab se kehta hoon tanha khush hoon
sach poocho to tanha rehna kis ko acha lagta hai,