ERI YAAD MEIN JEETEY JEETEY AIK ZAMANA BEET GAYA HUM KO
eri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!

