its all about ur fvrt poetry....get your taste from here ...u can get poetry written by MUHAMMAD ABUABAKAR ....we hope this site will touch your heart......

Banner 468

Facebook
RSS

udass poetry

Merey Saath Saath Rawaan To Hai Koi Sayaa Saa Kisi Yaad Ka,
Hai Wohi Shareek-E- Safar Mera Jo Mera Shareek-E-Safar Nahi.
[ Read More ]

Main hoon gardishon mein ghira hua

Main hoon gardishon mein ghira hua mujhe ap apni khaber nahi,
woh jo shakhs tha mera rahnuma usay raston mein ganwa dia.
[ Read More ]

sad poetry

Ek Lafaz Muhabbat Boya Tha.....

Ek Fasal Hijer Ki Kaati Hai...!!
[ Read More ]

Soz-e-Firaaq -e-Yaar Mein Marna Nahi Kamaal.

Soz-e-Firaaq -e-Yaar Mein
Marna Nahi Kamaal.

Ghut Ghut Kay Hijer-e-Yaar Mein
Jeena Kamaal Hai
[ Read More ]

Meray LAfzoon SAy NA KR

Meray LAfzoon SAy NA KR Meray Kiradar Ka Faisla ...............,
Tera WAjood Mit JAyega MEri Haqeqat DhondTay DhondTay .!
[ Read More ]

udass poetry

Ek Ghalti Pr WO Mujhay Esay Choor GAya HAy ..............,

Faraz ..,

JEsay Wo Sadyoon SAy Meri Ghalti KI Talash MAin THa .!
[ Read More ]

sad poetry

Bana k chor dety hain wo apne wajood ka aadi,

Kuch log is tarha bhi muhabton ka sila dety hain
[ Read More ]

husn poetry

Aao husn-e-yaar ki baten karen,

Zulf ki, rukhsaar ki baten karen..
[ Read More ]

Un ko gharoor-e-hussn hai,

Un ko gharoor-e-hussn hai, mujh ko gharoor-e-
ishq,

Woh bhi nashy mein choor hain, mein bhi piye
huye.. 
[ Read More ]

udass poetry

Main Jo Main Thi... Main Wohi Hoon.

Wo Jo Wo They... Wo Nahi Rahey.
[ Read More ]

Mulaqaatein Musalsal Hon To

Mulaqaatein Musalsal Hon To Dil-chaspi Nahi Rehti,

Bare Dil-chasp Hote Hain Ye Be-tarteeb Yaaranay......
[ Read More ]

Woh Tootay Huay Rishto'n Ka Husn...

Woh Tootay Huay Rishto'n Ka Husn...
Aakhir Tha.

Kay Chup Si Lag Gayi Dono'n Ko...
Baat Kartay Huay.
[ Read More ]

Aenn Mumkin Tha Ke Main

Aenn Mumkin Tha Ke Main Tujhse Mohabbat Karti.

Daikh Kar Tujhko Ager... Yaad Na Aata Koi.
[ Read More ]

Tujhse Haaro'n Tou Jeet

Tujhse Haaro'n Tou Jeet Jati Hoon.

Teri Khushyaa'n Azeez Hain Itni.

#doll
[ Read More ]

tumhari an.kahi batien

Tumhari an-Kahi Baatein,Tumhari an-Kahi Ghazlein,,
Jab Bhi Main Gungunai Hon,Tum Aksar "YaaD" Aatey Ho.. . .

Tumhara Wo Bichar Jana,Bichar K Phir Se Mil Jana,,

Meri Khamosh Baaton Ko Bhi Sun'na Aur Samajh Jana,,
Main Jab Mehsoos Karti Hoon Tum Aksar "YaaD " aatay ho

Adi
[ Read More ]

jashn kuch youn

jashn kuch youn shab.e.furqat mein bapa rakhe hai
ratjge hm n to ankhon mein saja rakhe hai

ho jo fursat to kabi aa k zara dekh mje
tere wade hai k seene se lga rakhe hai

hm n khud likhe khat apne jawab.ekhat m
youn udassi k dare bam saja rakhe h

ye hosla mj ko mila us ki wafa ka AZHAR
jitne apne the wo be.gane bna rakhe h 
[ Read More ]

Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,

Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,
To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti,
Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Humein,
To Humse Bhi Kisi Ne Mohbbat Ki Hoti…
[ Read More ]

MUSHKILON KO KARTA JO AASAN HAI

Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !

Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !

Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !

Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !

Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !

Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !

Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain,
WO bahut nadan hai anjan hai !!
[ Read More ]

JO BHI IS DIL PE GUZARTI HAI

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !

Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !

Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !

Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !

Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !!
[ Read More ]

JO KHUSBOO BAN KE DIL ME BAS GAYA HAI

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !

WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !

Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !

Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !

Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!
[ Read More ]

KISI KE KAM NA AAYE WO ZINDAGI KYA HAI

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !

Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !

Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !

Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !

Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !

Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !

Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!
[ Read More ]

JO MAUSAM BEET JATA HAI

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
[ Read More ]

USSAY KEH DOU KAY WOH

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay.....
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay...

Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko.....
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay.....

Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou...
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay......

Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa...
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay
[ Read More ]

AHL-E-DIL YOUN BHE NIBAH LETE HAIN

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye
Yaad Ki Shama Jala Lete Hain

Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane
Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain

Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan
Kitne Afsane Suna Lete Hain

Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye
Apni Hasti Ko Mita Lete Hain

AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain
[ Read More ]

WO KHUWAAB THAA

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin
[ Read More ]

USEY YAAD KER K NA DIL DUKHA

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia
[ Read More ]

HAR EK LAMHA NAYA IK IMTEHAN HAI

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai...
[ Read More ]

HAR YAAD KO YOUN ZAKHAM BANATAY NAHIN DIL KA

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay
[ Read More ]

WO SAMNE AYE TO NAZRON KO JHUKAA LOON GA

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga
[ Read More ]

MEIN HAQEEQAT HOUN

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey
[ Read More ]

KOI TO HOTA

KOI TO HOTA....
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA.....

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA....

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA........
[ Read More ]

HAZAR RAHEN MUD KE DEKHIEN, KAHIEN SE KOI SADA NA AYIE

Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie
Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie

Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain
Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain

Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi
Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti

Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren
Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen
[ Read More ]

TU NE JO CHONK KAR HER JAGHA NIGAH KI HOGI

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi
[ Read More ]

KHAALI JAAM LIYE BAITHE HO,UN AANKHON KI BAAT KARO

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
[ Read More ]

LAAKH MILTAY HAIN HUM BAHANAY SAY

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say

Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say...!!!
[ Read More ]

MANOOS KAR CHKUEY HEIN YE DIWAR-O-DAR MUJHEY

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey

Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey

Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey

Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey

Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey

Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey

Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey

Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey

Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey
[ Read More ]

US NE CHAAHAA BHI TUJHE AUR JATAAYAA BHI NAHEEN

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen
[ Read More ]

KARRAY HAIN HIJAR K LAMHAAT,USS SE KEH DENA

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena

Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena
[ Read More ]

KAHA THA TUM SAY…MERA INTEZAAR NA KARNA

Kaha tha tum say...mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna

Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna
[ Read More ]

FIZAOO MAIN RANG

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra...
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra...

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela...
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra...

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain...
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra...

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta...
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra...

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho...
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra...

Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per...
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai...

To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra...

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna...
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra...
[ Read More ]

AYE MERE HAMNASHEEN

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin
[ Read More ]

AZEEM HAI YEH QURBAT KI DOOORIYAAN

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai

Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai
[ Read More ]

TU NE JO CHONK KAR HER SIMTH NIGAH KI HOGI

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi
[ Read More ]

MUHABBAT KI JHUTHI KAHANI PE ROYE

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye
[ Read More ]

KOI TITLI HAMAREY PAAS AATI BHI, TO KIA AATI

Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,

Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,
Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay,

Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay,
Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay,

Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne,
Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay...
[ Read More ]

IN JHEEL SI GEHRI AANKHOON MAIN

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
[ Read More ]

TU IS TARHA SE MERI ZINDAGI MAIN SHAMIL HAI

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se

Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewangi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
[ Read More ]

BE-KARAAN TANHAAIYUN KA SILSILA REH JAAYEGA

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega
[ Read More ]

SAATH CHALNE MAIN JO MAZA HOTA

Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota

Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota

Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota

Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota

Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
[ Read More ]

WAFA RUSWA NAHI KARNA

Wafa ruswa nahi karna...

Suno aisa nahi karna

Mai pehle hi akela hu

Muje tanha nhi karna,

Judai aa b jaye to

Ye dil chota nhi karna

Bohat musroof ho jana

Muje socha nhi karna,

Barosa b zarori hai

Magar sub ka nhi karna

Muqadar to muqadar hai

kabi shikwa nahi karna

Meri takmeel tum se hai

muje adha ni karna

suno asa soocha nahi kerna.
[ Read More ]

BAATON BAATON MIAN BICHARNEY KA ISHARA KARKEY

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey
[ Read More ]

CHAHAT KI MEHFIL MAIN BULAYA HAI KISI NE

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne

Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
[ Read More ]

AIK DIA DIL MAIN JALANA BHI, BUJHA BHI DAINA

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina,

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,

Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,

Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina
[ Read More ]

KITNI MUSHKIL SE KATI KAL KI MERI RAAT NA POOCH

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
[ Read More ]

KAISAY KAHOON K APNA BANA LOU MUJHEY

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
[ Read More ]

HUMESHA MUSKURA KAY AANSOOUN KO CHUPAYA

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
[ Read More ]

JANE KIUN WOH SANSOO KI DOR TOTNE NAHI DETA

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta

bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta
[ Read More ]

AAJ JO TANHA HAI WOH PARDES MEIN

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga
[ Read More ]

YEH NA THI HUMARI KISMAT K WISAAL-E-YAAR HOTA

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota ...

ager or jeete rehte tu yehi intazar hota
kahoon kiss se main k kia hai ...
shab-e-ghum bori bala hai
mujhe kia bora tha marna ..
ager aek baar hota

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota ..

koei mere dil se poche
tere teer neem kash ko
yeh khalish kahan se hoti ..
ju jiger k paar hota
tere wade per jiye hum..
tu yeh jaan jhot jana ..
k khoshi se mar na jate ager etbaar hota ..

yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota

yeh kahan ki dosti hai ..
k bane hain dost saqi ..
koi chehra saaz hota ..

tu yeh na ghumm saath hota
[ Read More ]

KHAMOSH LEHJE MERE HAMDAM KABHI BOLA NAHIN KERTAY

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,
Bari anmol hoti hai,

Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,
Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,
[ Read More ]

KATOON SI CHUBHTI HAI TANHAI

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai

Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
[ Read More ]

SAR JHUKAAOGE TO PATTHAR DEVTAA HO JAAYEGA

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
[ Read More ]

TERE QAREB AA KAY BARI ULJHANO MAIN HON

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,

Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,

Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,

Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
[ Read More ]

KABHI WAQT MILE TO AAJAO

Kabhi waqt mile to aajao,
Ham jheel kinare ja baithen,

Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,

Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,

Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,

Hum pyar ki khushbo mehkain,
In bikhray sabz nazaron ko,

Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,

Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milaye to ajao...

Hum jheel kinare ja baithen
[ Read More ]

KITAB-E-DIL PE LIKHAY THAY KITNAY HE AFSANAY

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
[ Read More ]

EK TAMANNA HAI FAKAT MUJH PEY MEHARBAN RAHO

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagt
[ Read More ]

DOST DUSHMAN NAZAR NAHIN ATAY

Dost dushman nazar nahin atay
Ab to pather bhi ghar nahin atay

Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay

Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay

Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,

Dosti ho gaye sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay
[ Read More ]

AIK BAY RANG SA MANZAR HAI KAHAN TAK SOCHON

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon

BAS ITNI SI INAAYAT MUJH PE AIK BAAR KIJIYE

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
[ Read More ]

KUCH DIN TO BASO MERII AA.NKHO.N ME.N

kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n
phir khuwab agar ho jaao to kyaa

koi rang to do mere chehray ko
phir zakhm agar mehkao to kyaa

ik ainaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa

main tanhaa thaa main tanhaa huuN
tum aao to kyaa na aao to kyaa

jab ham hii na mahake phir saahib
tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa

jab dekhne waalaa koi naheen
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa
[ Read More ]

NAZAR MAIN ZAKHM-E-TABBASUM CHUPA CHUPA K MILA

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila
[ Read More ]

UN KA KIYAA DIL MAIN ASAY SAMA GAYA

Un ka kiyaa dil main asay sama gaya..
Sehra main goya jasay hoo selaab aagya..

Ankhoon na meri ansoo say ashna thii..
Askhoo ka aaj tu hoon darya bhaa gaya...

Main us ko bewafa kahoon mumqin nahi dost..
Her jand zakham dil pay wo meray laga gaya..

Jinay ki baat or hay marnay ki baat or..
Duniyaa say jo gaya wo akela gaya...

“saqi” is jahan main rishtay aziz hain...
Acha wohe raha jo in ko nibh
[ Read More ]

RAAT BHI SAARI JAAGTEY HUEY GUZARI

raat bhi sari jagtey huie guzri,
shab e gham mien shama jalatey huie guzri,
apni nakamiyoun pe afsous karte huie,
aankhou se ashk bahatey huie guzri,
ghamou se bharey iss tootey huie dil ko,
dukhou se apney bhelatey huie guzri,
jo chord gaya tanha safar mien mujhko,
usi ek bewafa ko bhulatey huie guzri,
wo na aaiega phir laut k yahan,
yehi baat dilko samjhatey huie guzri,
har lamha qayamat ki manand tehra,
har ghari mann ko tarpatey huie guzri,
khiza k iss phailey huie mausam mien,
saba bhi apni nazrien churatey huie guzri,
andhero ney apni dastaan sunaie mujhko,
roshni bhi apni kahani sunatey huie guzri,
kuch yadou ney neendien na aney di,
kuch raat jagou ki baarish mien nahatey huie guzri,
kab ka bhula diya tah mainey jisey,
kal hawa bhi aus k geet gungunatey huei guzri,
khuabou k sahil pe tere naam ko ,
kabhi likhte tou kabhi mitatey huie guzri,
nafrat aur pyaar ki kashmakash mien ye zindagi,
kuch rotey guzri tou kuch muskuratey guzri…
[ Read More ]

ZAMANAY KO JALNAY DO CHALO AIK SATH CHALTE HAIN

Zamanay ko jalnay do chalo aik sath chalte hain,
Nayee duniya basanay ko chalo aik sath chalte hain,

Hamain jeevan ka her lamha tumhare naam kerna hai,
Yeh waada nibhanay ko chalo aik sath chalte hain,

Suna hay mil k chalne se muqaddar jaag uthte hain,
Yeh baat aazmanay ko chalo aik sath chaltay hain,
[ Read More ]

EK BAR SUNO

Ek bar suno
kuch aisa hua,
Wo mujhko mili
Me us ko mila,
Izhar hua Iqrar hua,
Wo chahne lagi
Main chahne laga,
usey ishq bht
Mujhe PYAR bht hua,
PHIR kuch yun hua..
Wo chor gayi
Main toot gaya,
PHIR kuch yun mile..
Wo tanha thi
Main akela tha,
Bas hum do the
Or koi na tha,
Wo rone lagi
Main bebas raha,
Na PYAR na hi Izhar raha..
Bas Farq sirf itna sa raha,
Wo MITTI k upar roti rhi
Main MITTI k ander sota raha...
[ Read More ]

SMS GHAZAL

=> Bikta Hai Husn Bhi!! Zikar Misar Ke Baazaar Ka L00'n...* Ya Tazkara-E-Anar'kali!! Saleem Ke Darbaar Ka Kar L00'n...* Di Is Qadar T0hmatain Mujhey Aalam-E-Ishq Ne...* S0chta H00'n!! Rukh Apna Bhi Saf-E-Aghiyaar Ka Kar L00'n...* Kehta Hai 'Ghalib'!! Ishq Bhi Ek Kaam H0ta Hai...* Chal0 Phir Fikar Darvaish' Apney R0zgaar Ka Kar L00'n...* Hai Nafas Par Qaab00!! Magar Main Bhi T0 Insaa'n H00'n...* Kya Bura?? Gar Ek Kaam Main Bhi Gunnah'Gaar Ka Kar L00'n...* Gunnah-E-Ishq Sunta H00'n!! Asar Main Saddiy0'n Se Jaari Hai...* Main Jaata H00'n!! Ke Ek Tawaaf Apney Dildaar Ka Kar L00'n...* Azaan-E-Husn Deti Hai Terey Rukhsaar Ki Masjid...* Ijazat H0 Darvaish'!! H0nt0n Se Ek Sajda Piyaar Ka Kar L00'n.............;*
[ Read More ]

MUKAMMAL DO HI DANOO PAR YEH TASBEEH-E-MOHABBAT HAI

Mukammal Do Hi Danoo Par Yeh Tasbeeh-e-Mohabbat Hai,
Jo Aaye Teesra Daana Ye Doori Toot Jati Hai. .

Muqarar Waqt Hota Hai Mohabbat Ki Namazon Ka,
Adda Jin Ki Nikal Jaye Qaza Bhi Choot Jati Hai. .

Mohabbat Ki Namazu Mein Immamat Aik Ko Sonpo,
Is'sey Taakney Ussey Taakney Se Niyat Toot Jati Hai. .

Mohabbat Dil Ka Sajda Hai Jo Hai Tauheed Par Qayem,
Nazar K Shirk Waloon Se Mohabbat Rooth Jati Hai!!
[ Read More ]

MUHABBAT KAR TO LI HUM NAY MUHABBAT PAA NAHIN SAKTAY

Muhabbat Kar To Li Hum Nay,
Muhabbat Paa Nahin Saktay..

Bohat Kehnay Ki Khuwahish Hai,
Magar Bataa Nahin Saktay..

Teri Baatain, Teri Yaadain,
Hamara Dil Dukhati Hain..

Bohat Takleef Hoti Hay,
Tujhay Sunaa Nahin Saktay..

Teray Saath Chalnaa Hay,
Teri Manzil Bhi Ban'na Hay..

Bohat Thak Gaye Hain Hum,
Ab Aagay Ja Nahin Saktay..

Suno Hum Toot Jayen Gay,
Humain Kaisay Sametto Gay..

Ke Mar Ke Bhi Meri JAAN!
Hum Tujhe Bhula Nahin Saktay..
[ Read More ]

KAL SHAAM TERE GHAR QAYAM KIS KA THA

kal shaam tere ghar qayam kis ka tha
na tha koi musfir to ehtmam kis ka tha
likh likh choomti rahi jis ko raat bhar ankhen tumeri
humen bhi batao wo naam kis ka tha
jis ko sun k ro pare ehle-e-mehfil
itna bheegta hua anjam kis ka tha
humen pi k hosh na raha saqi
wo haath kis ka tha wp jaam kis ka tha
[ Read More ]

KABI FACEBOOK PE BETHNA

MERI ZAT ZARRA-E-IMTEHAN

Main Wo Kis Tarah Se Karun Bayan,
Jo PARHAYA Gaya Hy Mjhe Yahan.
Sune Kon Meri Ye Dastan,
Koi Dost Hy Na Hain Saiban.
Ye CHICHORAPAN..
Ye Parhaiyan..
Mere PAPERON Ki Hen Tarjumaan.
MERI ZAAT ZARRA-E- IMTEHAN.

Kabi Facebook Pe Bethna,
Kbi Dolmen Me Ghumna.
Mje Tha Pharre Ka Jo Aasra,
Nhi Kholi Mene Kitabe Copian.
Ye NUMERICALZ..
Ye THEORIAAAN..
Mre PAPERON Ki Hen Tarjuman.
MERI ZAT ZARRA-E-IMTEHAN.. :P 
[ Read More ]

KHATAM HO GA ZINDAGI KA YE SAFAR DEKH LENA

ختم ھو گا زندگی کا یہ سفر دیکھ لینا‎

تنہا چلے جائیں گے ھم دیکھ لینا

زندگی میں نھیں کوئی مکام اپنا

بعد مرنے کے ھوگی قدر دیکھ لینا

مجھے اب کوئی گالی بھی نہیں دیتا

پر پھولوں سے مہکے گی قبر میری دیکھ لینا

تنہا ھی زندگی میں چل رھا ھوں

جنازے میں ھو گا پورا شہر دیکھ لینا
[ Read More ]

KABHI FURSAT MILAY TOU HAMARA HAL BHI POOCH LENA

کبھی فرصت ملے تو ہمارا حال بھی پوچھ لینا

درد دل جو دیا ہے تو اس کی دوا بھی پوچھ لینا

ہو جاۓ ذندگی میں اگر کسی موڑ پہ سامنا

تو اپنے چہرے سے ذرا پردا تو اٹھا لینا

جب سجی ہو محفل تیرے دیوانوں کی

تو اپنی محفل میں ھم کو بھی بلا لینا
[ Read More ]

MILA WO BHI NAHI KARTE MILA HUM B NAHI KARTE

Mila Wo Bhi Nahi Karte Mila Hum b nahi karte,
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte,

Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr,
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte

Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte

Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
[ Read More ]

GHAZLON MEIN TERE PYAR KA CHARCHA NA KRENGE

Ghazlon Mein Tere Pyar Ka Charcha Na Krenge.,

Hum Tujh Ko Sar-e-Aam Yun Ruswa Na Krenge..

Kyun Hum Pe Uthein Sang-e-Malamat Ki Faseelein.,

Behtar Hai Tere Sheher Mein Aya Na Krenge..

Ye Chand Ye Taare Ye Haseen Raat Ka Alam.,

Mansoob Tere Naam Se Kia Kia Na Krenge..

Veeran Howe Qasr-e-Tamanna Ke Dareeche.,

Aabad Kabhi Pyar Ki Dunya Na Krenge..

Her Cheez Ki Buhtat Mein Nuqsan Buht Hai.,

Shiddat Se Kisi Shakhs Ko Chaha Na Krenge....
[ Read More ]

ANKHIEN

Bechain se rehte hain jab se mili hain un se ankhien
Ajab sa ho gaya hai hal jab se mili hain unse ankhien
pehle hosh chene ab dil ka qarar bhi chin gaya
kisi chez pe nahi ikhtiyar jab se mili hian un se ankhien
jane kesa jadu tha un khamosh nazron mein
kar gai jena mohal mera jab se mili hain un se ankhien
gum sum sa rehta hon doston k hote huey bhi
ho gai hai zuban khamosh jab se mili hian unse ankhien
[ Read More ]

LAHORE LAHORE HAI

Ballay ballay, Ho Khalo Daee Bhallay

Ho ballay ballay, ni Kha Lo Dahi Bhallay

Jinnay L’ore naee Tak’ya Jam’ya naee

Ho Jinnay L’ore naee Tak’ya Jam’ya naee

“Lahore Lahore Hai!”

Ethay Ravi Bagdi,

Ethay Uddiyan Patangan

Ethay Dilwale Rehnday,

Eda Jag Tay Na Koi JoR Aye

“Lahore Lahore Hai!”

Sa’een Peer Day Pandharay, Mithay Chowl Khao

Ethay Shalamar Aye,

Daata Da Mazaar Aye

Aggay Yaadgar Aye,

Phullan Karobar Aye

Khussa Tillay Waala Paanvan,

Geet Pyar Walay Gaanvan

Ethay Laddu PaiRay,

O Loki Lassian Peenday

Ethay Kulchay Wikday,

Eda Jag Tay Na Koi JoR Aye

“Lahore Lahore Hai!”

Chalo Chaliye Lohari,

ThoRi Kariye Khuwari

Kiti Taangay Di Sawari,

Hun Chadi Aye Khumaari

Ethay Gabroo Javan,

Khaanday Keemay Waalay Naan

Pola (Bhola), Jhaara Palhwan,

Loki Karday Nay Maan

Ethay Melay Lagday,

Ethay Kushtiyan Karday

Ethay Bhangray Paanday,

Eda Jag Tay Na Koi JoR Aye

“Lahore Lahore Hai!”

Karam Pura Tay Mughal Pura,

Bhagwan Pura Ek Paasay

Mall Road Tay Biddyan Road,

Tay Hall Road Ik Paasay

Lakshmi Chowk Tay Bhaati,

Chuburji, Wekhay Assi Tamashay

Lahore Qillay Wich Khusray Nachay,

Beh Gaye Othay Haasay

“Lahore Lahore Hai!”

Ethay Tabla Sitaar,

Rehnday Saaray Funkaar

Khhaan Khap Mosikaar,

Day Geetan Nu Nikhar

Ethay Haidri Malang,

Ali Ali Ang Ang

Saday Wakhray Nay Rang,

Assi Ichra Mazang

Ethay Wadday Wadday Khan,

Ethay Fateh Ali Khan

Ethay Noor Jehan,

Eda Jag Tay Na Koi Jodd Aye

“Lahore Lahore Hai!”

Melay Day Wich Dhol Wajday,

Loki Bhangray Paanday

Barfian Laddu Katlamay Tay,

Paapar Waddiyan Khaanday

Gawal Mandi Da Water Soda,

Pee Kay Jashan Manaanday

“Lahore Lahore Hai!”

Anarkali Wich Fashion Kar Kay,

Baagh-e-Jinah Wich Jaanday

Ethay Landay Jaanday,

Uthay Chaanti (i.e., sorting) Karday

Fir Babu Banday,

Eda Jag Tay Na Koi Jodd Aye

L’ore L’ore Aye, L’ore Lore Aye

L’ore L’ore Aye, L’ore Lore Aye

Ballay ballay, Ho Khalo Daee Bhallay

Ho ballay ballay, ni Kha Lo Dahi Bhallay

Jinnay L’ore naee Tak’ya Jam’ya naee

Ho Jinnay L’ore naee Tak’ya Jam’ya naee. :)
[ Read More ]

KUCH DIN TO BASO MERII AANKHON MENPHIR KHUWAB AGAR H

kuch din to baso merii aa.Nkho.n me.n
phir khuwab agar ho jaao to kyaa

koi rang to do mere chehray ko
phir zakhm agar mehkao to kyaa

ik ainaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa

main tanhaa thaa main tanhaa huuN
tum aao to kyaa na aao to kyaa

jab ham hii na mahake phir saahib
tum baad-e-sabaa kahlaao to kyaa

jab dekhne waalaa koi naheen
bujh jaao to kyaa jal jaao to kyaa
[ Read More ]

BAS ITNI SI INAAYAT MUJH PE AIK BAAR KIJIYEKABHI AA KE

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
[ Read More ]

AIK BAY RANG SA MANZAR HAI KAHAN TAK SOCHONZINDAGI MAIN

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon
zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay
aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai
main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain
tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon
[ Read More ]

DOST DUSHMAN NAZAR NAHIN ATAYAB TO PATHER BHI GHAR NAHI

Dost dushman nazar nahin atay
Ab to pather bhi ghar nahin atay

Sub ko roona mera mazaq lagay
Ashq aankhon main bhar nahin aatay

Baap say pocho kia guzarti hai
Baitiyon k jo bur nahin aatay

Mujh say pocha yeh raat wehshat nay
aaj kal aap ghar nahin aatay,

Dosti ho gaye sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin aatay
[ Read More ]

SAFAR TANHA NAHIN KARTESUNO AESA NAHIN KARTE CHALO TUM

Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte

Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte

Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte

Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey

Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte

Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte
[ Read More ]

EK TAMANNA HAI FAKAT MUJH PEY MEHARBAN RAHOTUM KISI AUR

Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai
[ Read More ]

KITABEDIL PE LIKHAY THAY KITNAY HE AFSANAYKUCH QISSE

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
[ Read More ]

KABHI WAQT MILE TO AAJAOHAM JHEEL KINARE JA BAITHENTU

Kabhi waqt mile to aajao,
Ham jheel kinare ja baithen,

Tum apne sukh ki baat karo,
Hum apne dukh ki baat karain,

Aur un lamhoon ki baat karain,
Jo sung tumhare beet gaye,

Aur ehd-e-khizan ki nazar howy,
In sabz ruton k daman mai,

Hum pyar ki khushbo mehkain,
In bikhray sabz nazaron ko,

Ham aankhon men tasveeer karain,
Phir apne pyar k jado se,

Hum lamhoon ko jageer karain,
Kabhi waqt milaye to ajao…

Hum jheel kinare ja baithen
[ Read More ]

TERE QAREB AA KAY BARI ULJHANO MAIN HONMAIN DUSHMANON

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,

Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,

Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,

Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
[ Read More ]

SAR JHUKAAOGE TO PATTHAR DEVTAA HO JAAYEGAITNA MAT CHAA

Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
[ Read More ]

KATOON SI CHUBHTI HAI TANHAIANGAROON SI SULAGTI HAI TAN

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai

Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai
[ Read More ]

KHAMOSH LEHJE MERE HAMDAM KABHI BOLA NAHIN KERTAYDARD

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,
Bari anmol hoti hai,

Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,
Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay,
[ Read More ]

YEH NA THI HUMARI KISMAT K WISAALEYAAR HOTA AGER OR

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota …

ager or jeete rehte tu yehi intazar hota
kahoon kiss se main k kia hai …
shab-e-ghum bori bala hai
mujhe kia bora tha marna ..
ager aek baar hota

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota ..

koei mere dil se poche
tere teer neem kash ko
yeh khalish kahan se hoti ..
ju jiger k paar hota
tere wade per jiye hum..
tu yeh jaan jhot jana ..
k khoshi se mar na jate ager etbaar hota ..

yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hota

yeh kahan ki dosti hai ..
k bane hain dost saqi ..
koi chehra saaz hota ..

tu yeh na ghumm saath hota
[ Read More ]

AAJ JO TANHA HAI WOH PARDES MEINZAROOR MUJH KO US NEY S

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga
[ Read More ]

JANE KIUN WOH SANSOO KI DOR TOTNE NAHI DETABAS QADAM AU

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne kawasta dekar mujhe rokne nahi deta

bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta
[ Read More ]

HUMESHA MUSKURA KAY AANSOOUN KO CHUPAYAGHUM KO CHUPANAY

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
[ Read More ]

KAISAY KAHOON K APNA BANA LOU MUJHEYBAHOUN MEIN APNI SA

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
[ Read More ]

KITNI MUSHKIL SE KATI KAL KI MERI RAAT NA POOCHDIL SE N

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
[ Read More ]

AIK DIA DIL MAIN JALANA BHI BUJHA BHI DAINAYAAD KARNA

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey roo, bhula bhi daina,

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,

Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,

Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina
[ Read More ]

CHAHAT KI MEHFIL MAIN BULAYA HAI KISI NEKHUD BULA KER

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne

Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
[ Read More ]

WAFA RUSWA NAHI KARNASUNO AISA NAHI KARNAMAI PEHLE HI

Wafa ruswa nahi karna…

Suno aisa nahi karna

Mai pehle hi akela hu

Muje tanha nhi karna,

Judai aa b jaye to

Ye dil chota nhi karna

Bohat musroof ho jana

Muje socha nhi karna,

Barosa b zarori hai

Magar sub ka nhi karna

Muqadar to muqadar hai

kabi shikwa nahi karna

Meri takmeel tum se hai

muje adha ni karna

suno asa soocha nahi kerna.
[ Read More ]

SAATH CHALNE MAIN JO MAZA HOTAWOH HUMAIN BHI KABHI MILA

Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota

Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota

Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota

Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota

Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
[ Read More ]

BEKARAAN TANHAAIYUN KA SILSILA REH JAAYEGATEREY MEREY

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega
[ Read More ]

TU IS TARHA SE MERI ZINDAGI MAIN SHAMIL HAIJAHAN BHI JA

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se

Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewangi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
[ Read More ]

KAB KAUN KISI KA HOTA HAISUB JHOOTEY RISHTEY NAATE HAIN

Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain…

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain…

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain…

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain…

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain…
[ Read More ]

IN JHEEL SI GEHRI AANKHOON MAIN IK SHAM KAHIN AABAD TO

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho

In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho

phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
[ Read More ]

KOI TITLI HAMAREY PAAS AATI BHI TO KIA AATIYUN GHUTG

Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,

Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,
Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay,

Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay,
Zabaan per umer bhar mehsoos ki chingariyon ham nay,

Samajhtay thay magar phir bhi na rakhi dooriyan humne,
Chiraghoon ko jalanay main jala ‘ li ungliyan hum nay…
[ Read More ]

MUHABBAT KI JHUTHI KAHANI PE ROYEBADI CHOT KHAI JAVANI

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye

Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye

Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye

Javani Peh Roye
[ Read More ]

TU NE JO CHONK KAR HER SIMTH NIGAH KI HOGIMERE HI DARD

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi
[ Read More ]

AZEEM HAI YEH QURBAT KI DOOORIYAANSATH REH KER BHI USKO

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai

Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai
[ Read More ]

AYE MERE HAMNASHEEN CHAL KAHEEN AUR CHALIS CHAMAN MEIN

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin
[ Read More ]

AZEEM HAI YEH QURBAT KI DOOORIYAANSATH REH KER BHI USKO

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai

Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai
[ Read More ]

AYE MERE HAMNASHEEN CHAL KAHEEN AUR CHALIS CHAMAN MEIN

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin
[ Read More ]

AYE MERE HAMNASHEEN CHAL KAHEEN AUR CHALIS CHAMAN MEIN

Ghaza

Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin
[ Read More ]

FIZAOO MAIN RANG BHARTA HAI TUMHARA CHAND SA CHEHRAMUJ

Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…

Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…

To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra…
[ Read More ]

KAHA THA TUM SAYMERA INTEZAAR NA KARNADUNYA CHAHEY JO

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna

Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna
[ Read More ]

KARRAY HAIN HIJAR K LAMHAATUSS SE KEH DENABIKHAR RAHI

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena

Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena
[ Read More ]

PYAAS VO DIL KII BUJHAANE KABHII AAYAA BHII NAHEENKAISA

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen
[ Read More ]

MANOOS KAR CHKUEY HEIN YE DIWARODAR MUJHEYZINDAAN KE

Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey

Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey

Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey

Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey

Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey

Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey

Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey

Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey

Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey
[ Read More ]

LAAKH MILTAY HAIN HUM BAHANAY SAYPYAR CHUPTA NAHI CHUPA

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say

Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!
[ Read More ]

KHAALI JAAM LIYE BAITHE HOUN AANKHON KI BAAT KARORAAT

Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
[ Read More ]

TU NE JO CHONK KAR HER JAGHA NIGAH KI HOGIMERE HI DARD

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi
[ Read More ]

HAZAR RAHEN MUD KE DEKHIEN KAHIEN SE KOI SADA NA AYIEB

Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie
Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie

Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain
Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain

Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi
Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti

Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren
Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen
[ Read More ]

KOI TO HOTAMAI JIS K DIL KI KITAAB BENTAMAI JIS KI CH

KOI TO HOTA….
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA…..

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA….

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA……..
[ Read More ]

WO SAMNE AYE TO NAZRON KO JHUKAA LOON GADEKHOON GA NAHI

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga
[ Read More ]

MEIN HAQEEQAT HOUN SAMAJHTEY HEIN WOH AFSAANA MUJHEYKHU

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey
[ Read More ]

HAR YAAD KO YOUN ZAKHAM BANATAY NAHIN DIL KAHAR TEER K